lakeeron mei aagayaYoun haath ki khamoosh lakiron mei aagaya lafzoun ki rahguzar say woh dil mei sama gaya jo nukta soochta raha mein tamam umr lamhoun mei sara falsafa mujhko bata gaya Youn chahatein samait lein daaman-e-yaar nay bakhshi qubooliat dil-e-be-ikhtiyaar nay sunli duayein bhi meri parwardigar nay woh bandagi ka mujhko saleeqa sikha gaya Uska khayaal subha hai uska khayaal shaam
jaisay pila gaya wo mujhay chahaton ka jaam
matla'a bhi uskay naam hai maqta'a bhi uskay naam
diwaan-e-shayeri mera kuch youN saja gaya
Youn haath ki lakeer hina ban kay chah gayee
tasweer uski meri hathaili mei aa gayi
khushboo qaba say sari fiza mei sama gayee
chashm-e-ghazal mei meri kajal laga gaya
Karkay meray wajood ko makhmoor lay gaya
anjaan rastoun pay mujhay dooor lay gaya
madhoushioun mei istarha mas-hoor lay gaya
taza ghamoun ki raah woh mujhko dikha gaya
Woh aik shakhs saray jahan say zara juda
umeed meri aas meri hausla mera
aiwan-e-dil mei aatish-e-chahat laga gaya
din ka sukoon raat ki neendein chura gaya
Toofaan jaisay shahar mei aakar guzar gaya
chookar meray badan ko sehar mujh pay kar gaya
jisko thapak thapak kay sulaya tha aik umr
ek shakhs chahatoun kay woh armaan jaga gaya
Har shaama'e intizaar sulagti rahi bahut
roti kabhi rahi kabhi hansti rahi bahut
khushboo'e gul chaman mei bhatakti rahi bahut
deewangi ki ek nayee duniya dikha gaya
Bay-aasra bhi ho kay bahalna qubool hai
shamma ki tarha mujhko pighalna qubool hai
purkhar raastoun pay bhi chalna qubool hai
kaanton ki rahguzar say ulajhna sikha gaya
Youn falsafa hayat ka mujhko bata gaya Youn haath ki khamoosh lakeeron mei aagaya